Woh choti choti baatein…

Baarish nahi aayi toh hum rote hai
lekin us baarish mein bheegne jaate nahi.
Facebook pe chat kiya karte hai,
lekin doston ko milne jaate nahi.

Gaane suna karte hai
lekin unko kabhi gungunate nahi
Gale bhi hum lagte hai
lekin pyaar karna humko aata nahi

Yun hi has diya karte hai hum
lekin khushi ka ehsaas hum karte nahi
Aasman ko chhoone ki baatein karte hai
lekin khule aasman ko kabhi dekha bhi nahi

Waise toh baatein kiya karte hai,
lekin khul ke hum muskurate nahi.
Marna nahi chahte hai hum,
lekin is zindagi ko jeena humko aata nahi.

7 responses to “Woh choti choti baatein…

Leave a comment